Sikhna Chahte Hai Hindi Typing To Follow Kare 5 Excellent Tips - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Sikhna Chahte Hai Hindi Typing To Follow Kare 5 Excellent Tips

Friends, Is Article Me Ham Baat Karege Tips For Learning Hindi Typing, I Min Ki Hindi Typing Kaise Sikhe. Smartphone Aur Computer Par Bahut Sare Log धड़ल्ले Se Hindi Type Karte Hai. Aise Me Jin Users Ko Hindi Typing Nahi Aati Unke Liye Ye Dekhna Kisi Magic Ki Tarah Hota Hai. Vaise, Ab Hindi Ko Kai Alag-Alag Tarike Se Type Kiya Jaa Sakta Hai. Technology Ne Un Users Ke Liye Aasan Bana Diya Hai, Jinhe Hindi Typing Nahi Aati. Aaj Ham Aapko Un Tips Ke Baare Me Bata Rahe Hai Jinki Help Se Aap Mobile Aur Computer Par Aasani Se Hindi Type Kar Sakte Hai. Sabse Pahle Dekhte Hai Mobile Phone Par Hindi Typing Kaise Ki Jaati Hai.

Mobile Aur Computer Me Hindi Typing Kaise Kare- 5 Aasan Tarike.

Tips For Learning Hindi Typing

Mobile Apps Ka Use Karke Hindi Typing Karna:
Smartphone Par Hindi Typing Ke Liye Kai Apps Ban Chuke Hai. Ye Application Play Store Ya Dusre Store Par Free Me Available Hoti Hai. In Apps Ko Apne Mobile Phone Me Install Karke In Me Diye Gaye Keyboard Ka Use Karna Hota Hai. In Keyboard Me Hindi Typing Ke Sath Hinglish Ka Option Bhi Hota Hai. Yani Ki User English Me Jo Type Karega Keyboard Yuse Hindi Me Convert Kar Dega. Iske Liye Aap In Apps Ka Use Kar Sakte Hai.
  • Google Indic Keyboard
  • Hindi Keyboard
  • Asan Hindi Keyboard
  • Aise Hi Other Apps
Note: Jyadatar Phone Ke Keyboard Me Hindi Typing Built-in Hoti Hai. Actually, Inse Hindi Typing Karne Me Thodi Difficulty Hoti Hai.
Computer Me Hindi Typing Kaise Kare:
Computer Me Hindi Typing 2 Tarah Se Hoti Hai. Inme Ak Remington Aur Dusri Phonetic Hai. Remington Ke Liye Computer Me Font Install Karne Hote Hai. Vahi, Phonetic Ke Liye Computer Ki Setting Me Change Karne Ki Jarurat Hoti Hai. Phonetic Ko 'Mangal' Ke Name Se Bhi Pahechana Jaata Hai.

Hindi Font:
Remington Typing Ke Liye Computer Me 'Kruti Dev' Font Ko install Karna Hota Hai. Ye Alag-Alag Design Ke Hote Hai. Actually, Typing Sabhi Par Ak Jaisi Hi Hoti Hai. Aap Font Ko Free Me Download Kar Sakte Ho. In Font Ko Install Karne Ke Baad User Ko Is Baat Ka Pata Lagana Hota Hai Ki Keyboard Se Kis Button Se Hindi Ka Konsa Font Type Ho Raha Hai. Bas Thodi Si Mahenat Ke Baad Ye Typing Aa Jaati Hai.

Computer Par Font Kaise Install Kare:
Control Panel All Control Panel Items  Fonts  Yaha Par Download Kiye Gaye Font Ko Pest Kar De.

Computer Ki Setting Change Karke Hindi Typing Kaise Kare.
Yadi Aap Phonetic Hindi Typing Karna Chahte Hai To Iske Liye Computer Ki Setting Me Kuchh Changes Karne Hote Hai. Iske Liye Kisi Font ko Install Karne Ki Jarurat Nahi Hoti. Ye Windows Me Default Hoti Hai. Jise Language Ki Setting Me Jakar Select Kar Sakte Hai. Is Setting Ko Apply Karne Ke Baad User Ko Is Baat Ka Pata Lagana Hota Hai Ki Keyboard Ke Kis Button Se Hindi Ka Kon Sa Font Type Ho Raha Hai. Thodi Si Mahenat Karne Ke Baad Ye Typing Aa Jaati Hai.

Computer Me Hindi Typing Ke Liye Setting Kaise Change Kare.
Control Panel ➤ All Control Panel Items ➤ Regional and Language ➤ Keyboards and Languages  Change Keyboards  Add  Hindi  Devanagari Select Kar Le.

Google Translator Se Hindi Typing Kaise Kare.
Hindi Typing Karne Ka Ye Sabse Aasan Tarika Hai. Yadi Aapki English Achhi Hai Tab Google Translator Ki Help Se Hindi Type Ki Jaa Sakti Hai. Ye Google Ka Online Tool Hai. Iske Liye Pahle Aapko Google Par 'Google Translate' Type Karke Search Karna Hoga, Yaha Par Jo Pahli Link Aaye Yuse Open Kare, Ab Pahle Box Me English Aur Dusre Box Me Hindi Select Kare. Ab Aap English Me Jo Type Karege Vo Yuse Hindi Me Convert Kar Dega. Baad Me Yaha Se Hindi Ko Copy Aur Pest Kar Sakte Hai. Google Translator Ki Help Se Aap Mobile Aur Computer Par Hindi Typing Kar Sakte Ho.

Google Translator Apps.
Is App Se Bhi Aap Hindi Typing Kar Sakte Ho. Ye Bhi Sabse Aasan Tarika Hai Online Hindi Typing Karne Ka. Is Me Ak Khas Baat Ye Bhi Hai Ki Aap Voice Se Bhi Hindi Typing Kar Sakte Ho. Aur Vo Bhi 100% Right Word Ke Sath, Sirf Aapka Voice Clear Hona Chahiye. Aap Thode Time Use Karege To Aapko Pata Lag Jayega Ki Kis Tarah Se Voice Se Right Typing Hoti Hai. Me Bhi Iska Hi Use Karta Hu. Agar Koi Hindi Writer Hai To Sabse Fast Hindi Typing App Inse Bahetar Koi Nahi Hoga. Kyu Ki Jitni Aapki Voice Ki Speed Hogi Utani Hi Fast Hindi Typing Hoti Hai.
Note: Is Tool Se Sentence Formation Ki Problem Aa Sakti Hai. Iske Liye Hindi Ki Line Ko Puri Read Karke Ak Baar Jarur Dekhna Chahiye. Convert Hindi Ke Word Par Click Karne Se Niche Ki Taraf Yus Se Jude Kai Option Aate Hai.
Dosto Computer Aur Mobile Par Hindi Typing Kaise Kare Jiske Baare Me Hamne Jaana, Feer Bhi Koi Topic Aapko Samaj Me Na Aaye To Hame Comment Me Bataiye. Aur Article Aapko Pasand Aaya Ho To Apne Friends Ke Sath Share Jarur Kare. Thanks And Keep Visiting....

YOU MAY ALSO LIKE:

1 comment:

  1. hindi typing ke baare me best advice share karne ke liye bahut bahut dhayawaad

    ReplyDelete