Join WhatsApp

Join Now

Join Telegram

Join Now
---Advertisement---

2019 Me Best Income Ke 5 Best Option {Better Option For Investment}

By Sanjay Danger

Published On:

Follow Us
---Advertisement---

Safe Invest Aur Best Return Ke Liye Paise Ka, Kaha Kare Investment:

Safe Invest And Best Return For Investment
Naye Saal Par Har Vyakti Nayi Planning Karta Hai. Isme Investment Ki Planning Bhi Shamil Hai, Jo Secure Future Ke Liye Bahut Jaruri Hai. Bahut Se Logo Ke Paas Paise To Hote Hai, But Uska Investment Karne Ke Option Ka Pata Nahi Hota Hai. Aise Me Ho Sakta Hai Ki Vo Jyada Income Ki Chaah Me Apne Paise Aisi Jagah Invest Kar Dete Hai Jaha Risk Jyada Hota Hai. Aise Me Aapke Liye Yah Jaruri Hai Ki Apni Mahenat Ki Kamai Aisi Jagah Invest Kare, Jaha Dusre Option Ki Tulna Me Aapko Jyada Income Ho Aur Aapke Paise Bhi Safe Rahe. Sath Hi Investment Ka Koi Bhi Option Pasand Karne Se Pahle Us Par Lagne Wale Tax Ka Bhi Dhyan Rakhna Itna Hi Jaruri Hai. 





Investment Ki Planning Kaise Kare.
Aaj Ke Article Me Ham Aapko 2019 Ke Liye 5 Best Option Batayege, Jaha Aapke Paise Dusri Kuchh Scheme Se Safe To Rahege Hi Sath Hi Us Par Better Return Bhi Mile. Sath Hi Aapke Invest Me Risk Bhi Na Ho. Ab Baat Karte Hai Saal 2018 Me Paise Lagane Ke Aise Option Jaha Aapko Safety Ke Sath-Sath Best Return Bhi Mil Sakta Hai. 
Kis 5 Jagaho Par Lagaye Paise.
  • 1-Liquid Fund
  • 2-Sukanya Samriddhi Yojana
  • 3-PPF
  • 4-Post Office
  • 5-सरकारी बॉन्ड्स
➧1 Liquid Fund
2018 Me Investment Ka Best Option Ho To Vo Hai Liquid Fund. Ye Fund Aapko Saving Account Par Milne Wali ब्याज दर (Rate of Interest) Ke Mukable Jyda Return Dete Hai. Sath Hi, Is Se Paisa Aasani Se Nikala Jaa Sakta Hai. Last 1 Years Se Jyadatar Liquid Fund Schemes Ne 9% Se Jyada Return Diya Hai, Jo FD Par Mil Rahe Mojuda Return Se Bhi Jyada Hai. 
Kya Hai Liquid Fund
Liquid Fund Ak Tarah Ke Mutual Fund Hai, Jinme Risk Bahut Cum Hota Hai. Liquid Fund Ka Dusra Naam Hai Cash Fund Aur Iska Maksad Hai Jyada Liquidity, Cum Risk Aur स्थिर Return.
Jab Chahe Tab Nikal Sakte Hai Paise.
Liquid Fund Me Koi Lock-in Period Nahi Hai. Yani Ki Aap Invest Karne Ke Dusre Deen Bhi Paisa Nikal Sakte Hai. Paise Aapko Usi Deen Mil Jaayega. Aap One Week Ke Liye Bhi Apne Paise Ka Invest Yaha Kar Sakte Hai. Aur Jab Chahe Tab Apne Paise Ka Investment Yaha Par Kar Sakte Ho. Jab Chahe Extra Paise Jaama Kara Sakte Ho Aur Nikal Bhi Sakte Ho. Yah Scheme Bank Ya Post Office Ki RD (Recurring Deposit) Ki Tarah Kaam Karegi. Rate 




Mutual Fund Me Kaise Kare Investment
Agar Aap Mutual Fund Me Pahli Baar Invest Kar Rahe Hai To Fund Manager Aapka KYC Taiyar Karega. Iske Baad Pahle Mahine Ki Installment Ke Liye Ak Cheque, ECS Ke Liye Auto Debit Form Aur Ak Common Form Bharvaya Jayega. Iske Sath Hi Aapki Liquid Fund Me SIP Start Ho Jayegi.
2 Sukanya Samriddhi Yojana
Income Tax Se छूट.
Sukanya Samriddhi Yojana Central Government Ki Scheme Hai. Is Vajah Se Isme Investment Karne Walo Ke Paise Safe Hai. Yojana Ke Tahat Apni 10 Year Se Cum उम्र Ki बेटी Ke Naam Par Bank Ya Post Office Me Account Khulvaya Jaa Sakta Hai. Is Yojana Me 14 Saal Tak Invest Karna Hota Hai. Aur Jab बेटी 21 Saal Ki Hone Par Account Mature Ho Jaata Hai. Account Me Invest Kiye Gaye Paiso Par Income Tax Ke Section 80C Ke Tahat छूट Bhi Lee Jaa Sakti Hai.
8.1% Interest in Sukanya Samriddhi Yojana
Sukanya Samriddhi Yojana Me 8.1% Interest Mil Raha Hai. Is Yojana Me ब्‍याज Ki गणना Half Yearly Compounding Aadhaar Par Ki Jaati Hai. Jis Se Real Return Thoda Jyada Ho Jaata Hai. Is Yojana Me Har Saal Minimum 1000 Rupye Aur Maximum 1.5 Lakh Rupye Invest Kiye Jaa Sakte Hai. 
3 Public Provident Fund {PPF}
Return:- 7.6%
Saal 2018 Me Bank Saving Account Ki Tulna Me PPF Account Me Paise Dalna Best Option Hai. Haal Ke Samay Me PPF Par Yearly 7.6% Return Mil Raha Hai. Government Every Three Months Par PPF Par ब्‍याज दर Ki Analysis Karti Hai.
Ak Vykti Ak Hi PPF Account
Ak Vykti Ke Naam Par Sirf Ak Hi PPF Account Khul Sakta Hai. Account Ko Banaye Rakhne Ke Liye Aapko Minimum 500 Rupaye Yearly Aur Maximum 1,50,000 Rupaye Yearly Deposit Kara Sakte Hai. 
Total Tax Free.
PPF Ka Sabse Bada Fayda Yah Hai Ki Isme Jama Ki Gayi Rakam Par Milane Wala ब्याज Tax Free Hota Hai. Itana Hi Nahi Us Par Milane Wala Interest Aur Maturity Par Milne Wali Rakam Teeno Hi Tax Free Hoti Hai.
4 Post Office
Interest:- 7.9%
Bank तो Deposit Rate Ghatane Me Lagi Hui Hai, Lekin Feel-Haal Post Office Ki Savings Schemes Ki ब्याज दरों Me Kami Nahi Ki Gayi Hai. Investors Ko Bank Deposit Par Abhi Maximum 6 Se 7% Ke Bich Interest Mil Raha Hai. Jab Ki Post Office Ki Savings Schemes Par 7.9% Interest Mil Raha Hai. Is Lihaj Se Aapki Rakam Is Scheme Me 9 Saal Me Double Ho Jayegi.
➧5 Government Bonds (सरकारी बॉन्ड्स)
Government Bonds Me Paise Lagana Aapke Liye Bank Se Better Option Ho Sakta Hai. Jaha Banks Me Maximum 7% Tak ब्याज Mil Raha Hai, Vahi, सरकारी बॉन्ड्स Par Abhi 7.8% Interest Rate Hai. Is Lihaaj Se Aapki Rakam Bhi Bank Ki Tulna Me Jaldi Double Ho Jayegi.





➧ YOU MAY ALSO LIKE 

Sanjay Danger

Hello,FRIENDS ME WEB OWNER Sanju Dangar. I'm A 8 Year Old TECH BLOGGER LIVE IN (GUJRAT) INDIA. SHARE MANY USEFUL GUIDE ABOUT TECHNOLOGY, ANDROID SMARTPHONE TIPS, BUSINESS PLANING AND IDEAS, STUDENTS CAREER TIPS, GOVERNMENT JOBS AND PART TIME JOBS, SOCIAL MEDIA MARKETINGETC. IF YOU LIKE THIS WEBSITE THAN VISIT DAILY. Learn More →

15 thoughts on “2019 Me Best Income Ke 5 Best Option {Better Option For Investment}”

  1. Sanju, thanks for sharing this hinglish blog regarding investments. It is sure to help people who need to understand investments but lack the grasp on language. Thanks for the share.

    Reply
  2. Rahul Bro, vaise to aapka blog bahut hi achha hai, but ak blog/website me kuchh feature jaruri hai jo muje aapke blog pe kahi bhi nahi dikh raha, jaise comment box, pages, social share button, subscribe widget, kuchh widget add karna jaruri hota hai jis se site ke look ke sath google bhi pasand karta hai, aap hamare blog ya dusre ke blog ke sath apne blog ko compare karke dekh sakte hai ki aapke blog me kon se feature ki kami hai, baki article achha likhte ho, sirf design me thoda kaam karne ki jarurat hai.

    Reply

Leave a Comment